Nawafil Baraaye Azaab e Qabar: Pandharween shab ko
(8) rakaat nimaaz salam parhy. Har main soora e fatiha
k baad (10,10) martabah parhy. Allah Paak us Nimaz
k baad parhny waly k liye be shumaar farishty muqarar
kry ga. Jo usy azab e qabar sy nijaat ki aor
dakhil behshat hony ki khushkhabri dein gy.
Shaaban ki pandharween shab ko Nimaaz e Maghrib
k baad (6) rakaat nafal nimaz, do do rakaat kr parhein.
Pehly do nafal parhny sy pehly umar main kher o barkat
ki niyat kryn. Dosry do nafal parhny sy pehly balaon
aor museebat sy mahfooz rehny ki niyat kryn.
Teesry o nafal parhny sy pehly makhlooq ka mohtaah
na hony ki niyat kryn. Har do do nafal adaa krny k baad
aik baar soor e yaseen ya (21) baar soor e ikhlaas
parhein aor darood e pak parh kr dua mangein.
Ilaahi Azzawajjal to bohat muaaf farmany
wala hai. Muaaf farmany ko pasand krta hai.
Pass mujhy muaaf farma dy.
Rasool Akram (P.B.U.H) Farmaty hain mujhy
Jibraeel (A.S) ny khabar di Maah e Shabaan main
Allah taalaa rehmat k teen so (300) darwazy khol deta hai.
Hazrat Ali (R.A) sy riwayat hai keh Rasool Akram
(P.B.U.H) ny irshad e mubarik farmaya keh jb
Shabaan ki pandhraween shab aaye to tum raat
ko qiyaam kro. Yani nawafil parho aor din ko roza rakho.
Ilaahi Azzawajjal tu bohat muaaf farmany wala hai.
Muaaf farmany ko pasand krta hai.
Pass mujhy muaaf farma dy.
Mujhy pukaro, mujh sy hi maango,
Main tumhari duaein sun'ny wala hoon.
Is raat main Allah Taalaa banoo qalab ki bakrion
k baalon k barabar logon ko jahannum sy aazad farmata hai.
Ay Allah! meri madad farmaa keh main tera zikar kroon,
tera shukar adaa kroon aor teri behtreen ibadat kroon.
Hazrat Aysha (R.A) sy riwayat hai keh Rasool Akram
(P.B.U.H) ny farmaya mery pas Jibraeel (A.S) aaye aor
kaha Shaaban ki pandharween raat hai. Is main Allah
Taalaa jahannum sy itny ko aazad farmata hai jitny bani
qalab ki bakrion k baal hain. Magr kafir aor adaawat waly
aor rishty katny waly aor kapra latkany waly aor waldein
ki naa farmani krny waly aor sharaab k aadi ki
taraf rehmat nahi krta.
Shab e baraat (14) rakaat nafal nimaz do do rakaat kr k
aisy parhein keh har rakaat main soor e alfalaah k baad
koi bhi soorat aik aik baar parhein har do rakaat nafal
parhny k baad (14, 14) baar soor e fatiha aor Soor e Ikhlaas
parhein phir aik baar Aayat ul Kursi parhein. Us k baad
Soor al Toabaah ki aayat 128-129 parhein. Is ka bohat
ajr o sawab hai.
Jo maah e shabaan k mukammal rozy rakhta hai
Allah Taalaa sakraat moat sy usy nijaat ataa
fatamata hai. Qabar ki tareeki aor munkir nakeer
ki dehshat o heebat sy mahfooz ho jata hai.
(Nazhat ul majalis).
Shab e qadar ki fazeelat aor sunnat ka tareeqa:-
(4) rakaat (aik salam sy) tarkeeb: har rakaat main
(Alhumdulillah) k baad. (2) baar (soor e alqadar)
(5) baar (soor e ikhlaas. Salam k baad sajdy main
jaa kr (41) baar (Subhan Allah) Parhy.
Fazeelat: Jo dua mango qabool hogi.
Hazart Abdullah Bin Umar (R.A) ny
Rasool Akram (P.B.U.H) sy riwayat ki keh
Rasool Akram (P.B.U.H) ny farmaya Shab e Qadar
ko aakhir ki saat raton main talash kro.
(Sahi Muslim, Kitab ul soam, Page 169, Hadees Number 2762).
Hazrat Ali (R.A) sy riwayat hai keh Rasool Akram
(P.B.U.H) ny irshad e mubarik farmaya keh jb
Shabaan ki pandhraween shab aaye to tum raat
ko qiyaam kro. Yani nawafil parho aor din ko roza rakho.
No comments:
Post a Comment