Monday, June 13, 2016

Ramadan Kareem Images with Ramdan Hadith for FB


Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jo Ramzan k rozy rakhy aor phir us k baad shawal main 
(6) rozy rakhy to yeh hamesha rozaa rakhny ki maanind hai.



Hazrat Abu Hurera (R.A) farmaty hain keh,
Rasool Akram (S.A) ny irshad farmaya:-
Jo shakhs bila azar Ramzan ka aik roza bhi chory to 
zamany bhar k rozy us ko kafi na hongy.



Hazrat Zaid Bin Khalid (R.A) sy riwayat hai:-
Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jis shakhs ny kisi roza daar kaa roza aftaar krwaya to 
us k liye us roza daar ki masal e ajar hai aor rozy daar 
ky ajar sy bhi kuch kami nahi ki jaye gi. 
(Tirmazi, Hadees Hassan Sahii Bukhari).



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Beshak jo shakhs Allah Taalaa k liye aik din ka bhi 
roza rakhy to Allah Taalaa us ko dozakh ki aag 
(70) baras ki musafat k barabar door kr deta hai.



Rasool Akram (S.A) ny aik aadmi ko hukam farmaya:-
Jis aadmi ny Ramzan main roza tor liya to usy chahiye 
keh woh aik ghulam ko aazad kry, do maheenon k rozy 
rakhy yaa saath (60) maskeenon ko khana khilaye.



Aik shakhs Rasool Akram (S.A) k pas aaya aor bola:
Yaa Rasool (S.A) mainy roza main bhool kar kha pee liya. 
To Aap (S.A) ny farmaya tujhy Allah Ny khilaya pilaya.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Sehri khaya kro kiyon keh sehri k khany main barkat hai, 
aor yaqeenan Allah aor us k farishty sehri khany walon 
par darood bhejty hain.



Hazrat Abu Hureraah Sy riwayat hai keh 
Rasool Akram (S.A) ny irshad farmaya:
Keh jis shakhs ny Imaan k jazby sy aor talb e sawab 
ki niyat sy Ramzan ka roza rakha, to us ky pichly 
gunahon ko bakhshish ho gai. 
(Bukhari o muslim, Mashkaatu).


No comments:

Post a Comment